About Me

इस साईट में शामिल हो

Thursday, 21 October 2010

Kya Dialog Hai !

I was watching the AFI 100 best quotes in Hollywood and I realize that the Hindi film industry or Bollywood as everybody likes to call it also has some great quotes even though everyone might argue about the most repeated one.  Hindi Movies has many good dialogs. I tried to remember many of them and I am sure I have forgotten many. You may agree with the list. I have created a page for the dialogs. Please update the comments ob that page and I will keep on updating in the permanent page or mail me at ghostrav@gmail.com
Listing some of the greatest movie quotes from the Hindi Film Industry in no particular order.
Don ka intezar to baara mulko ki police kar rahi hai. Lekin Don ko pakadna muskhil he nahi, namumkin bhi hai
- Amitabh Bachchan, Don (1978)

Mujhe iske Jootho ka style pasand nahi aaya
- Amitabh Bachchan, Don (1978)

Chain quli ki main quli ki chain
- Amitabh Bachchan and others, Satte Pe Satta (1982)

Basanti, In kutto ke samne mat nachna
-Dharmendra, Sholay (1975)

Mogamo Khush hua
- Amrish Puri, Mr. India (1987)

Yeh haath Mujhe de de thakur
- Amjad Khan, Sholay (1975)

Jab tak bhetne ko na kaha jaye, khade raho! Yeh Police station hai Tumhare baap ka ghar nahi!
- Amitabh Bachchan, Zanjeer (1973)

Zindagi aur maut uparwale ke haath hai jahanpana, jise na aap badal sakte hai na mein. hum sab toh rangmanch ki katputlia hai, jiski door uparwale ke haath bandhi hai. Kan, Kaun, kaise uthega, yeh koi Nahi janta.
- Rajesh Khanna, Anand (1970)

Yeh bhi toh nahi keh sakta, ki meri umar tujhe lag jaye!
-Rajesh Khanna, Anand (1970)

Koi mar gaya kya?
Akshaye Khanna, Dil Chahta Hai (2001)

Kitne aadmi the?
- Amjad Khan, Sholay (1975)

Kaun Kambakht Bardasht karne ke liye peeta hai…
-Shahrukh Khan, Devdas (2002)

Kaun?
-Urmila Matondkar, Kaun? (1999)

Jab gaaon main bachchha rota hain,to uski maa kahti hai ki beta soja soja warna crime master gogo aa jayega..
Aamir Khan, Andaz Apna Apna (1994)

Itna sannata kyon hai bhai?
A K Hangal, Sholay (1975)

Jhakasssssss
- Anil Kapoor, Yudh (1985)

Mein to unko taab se janti hu jaab se Mein panch saal ki thi!!
-Sridevi, Lamhe (1991)

Rishtey main to hum tumharey baap lagtey hain, Naam hai Shenshah
Amitabh Bachchan, Shahenshah (1988)

Phata Poshter…. Nikla HERO!!!
- Naseerudin Shah, Hero Hiralal (1988)

Humaara naam Soorma Bhoopali aise nahin hai!!!
- Jagdeep, Sholay (1975)

Do rupaye main kya saara jungle kareedoge?
- Jagdeep, Sholay (1975)

Mumbai ka bhai kaun?
- Manoj Bajpai, Satya (1998)

Na koi maarta hai, na koi marta hai
- Manoj Bajpai, Aks (2001)

Main tumhe chand dikha raha hoo aur tum mere ungli ki galti nikal rahi ho
- Sanjay Dutt, Khoobsurat (1999)

Tumhara naam kya hai basanti?
- Amitabh Bachchan, Sholay (1975)

Mein chota sa, pyara sa, nanha sa, baccha hoon
- Shakti kapoor, Chaalbaaz (1989)

Police officer, you are a foolish officer
- Utpal Dutt, Golmaal (1979)

Bewkoof aur c**tiye mein dhage bhar ke pharak hota hega bhaiya dhaage kahenge bewkoof par honge chutoye. aur jo dhaaga hainch do, to kaun hai bewkoof, kaun chu**** , karod rupe ka prashan hai bhaiya….”
-Saif Ali Khan, Omkara (2006)

Sarat ghodo par lagate hai kathor, shero par nahi
- Ajay Devgan, Omkara (2006)

Yaadi yaadhi bailgaadi
-Saif Ali Khan, Omkara (2006)

Maamu let ja teri toh vaat lag gayi
Boman Irani, Munnabhai, M.B.B.S (2003)

Yeh bacchhon ke khelne ki cheez nahi, haath kat jaaye toh khoon nikal aata hai
- Raj Kumar, Waqt (1965)

Thakur to ggggiyo
- Ashok Sharaf, Karan Arjun (1995)

Maa main aa gaya
-Hrithik Roshan, Koi….Mil Gaya (2003)

Hawa tez hai Dinkar Rao.. Topi sambhalo, nahin to udd jayega
-Amitabh Bachchan, Agneepath (1990)

Naam:Vijay deenanath chauhan..Poora naam, baap ka naam:deena nath chauhan, maa ka naam, suhasini chauhan
- Amitabh Bachchan, Agneepath (1990)

daru pine se liwar kharab ho jaata hai..
- Amitabh Bachchan, Satte pe Satta (1982)

Duniya main do type ke kide hote hai..
- Amitabh Bachchan, Hum (1991)

Pyari nahi bahut sari baatein karti hai!!!!
- Amitabh Bachchan, Sholay (1975)

Yeh Ramgadh walen apni ladkiyon ko kaunse chakki ka aata khilate hai?
Amjad Khan, Sholay (1975)

Yeh dhai kilo ka haath jab kisi pe padta hai toh who uththa nahi uth jaata hai
- Sunny Deol, Damini

Tarikh Pe tarikh
- Sunny Deol, Damini (1993)

Agar koi mere ek gaal par thapad maare toh doosra gaal aage karne ke liye main Gandiji itna mahaan nahi hoo
- Nagarjun, Shiva (1989)

Chal Dhano! Aaj teri Basanti ki izzhat ka saawal hai
- Hema Malini, Sholay (1975)

Babumoshaiiiiii……
- Rajesh Khanna, Anand (1970)

Dikhaaee naheen deta? to kahaan rehta hai? ye aajkal apna malhotra bhi dikhaaee naheen deta.. kahaan rehta hai vo? dikhaaee de to mere paas bhejna..
Anu Kapoor, Mr. India (1987)

Mere paas maa hai
Shashi Kapoor, Deewar (1975)

Hum jahan par khade hote hai, Line wahan se suru hoti hai
- Amitabh Bachchan, Kaalia (1981)

Arre sir kya baat kar rahe hain aap? hamaara akhbaar to ek chhoti si family hai.. main kaise seema ko nikaal sakta hoon.. vo to bas jab isne kaha ki aap dikhaaee naheen dete to……… lekin ab jab maine aapko dekha.. mera matlab hai naheen dekha…. to… dekha na.. ki naheen dekh sakte….
- Anu Kapoor, Mr. India (1987)

Balmaaaa
Shakti Kapoor, Chalbaaz (1989)

Ki..ki…ki…Kiran
-Shahrukh Khan, Darr (1993)

Mooche ho to Nathulal jaise ho….warna na ho
- Amitabh Bachchan, Sharaabi (1984)

Dosti ki hai – nibhani toh padegi
- Salman Khan, Maine Pyar Kiya (1989)

Sara saher mujhe loin ke naam se jaanta hai
Ajit, Kalicharan (1976)

Aaisa he hoo main..
Ajay Devgan, Pyar toh Hona he tha (1998)

Thoda TV ko dekhne, Thoda Biwi ko dekhne ka
- Kunal Vijaykar, Ab Tak Chappan (2004)

Gaaaaaang!!
-Sanjeev Kumar, Angoor (1982)

Kaunsa labz?
Paresh rawal. Hera Pheri (2000)

Preetam aan milo
Sanjeev Kumar. Angoor (1982)

Bada footage kha rahee hai Bus
- Sanjeev Kumar, Angoor (1982)

Ek macchar aadmi ko hijda bana deti hai
- Nana Patekar, Yashwant (1997)

Main janta hoo aapko sahare ki jaroorat nahi, main toh sirf saath dene aaya hoo
- Priyanshu Chatterjee, Tum Bin (2001)

Jhooth nahi pasand mujhe. Kahan tha tumse
- Ajay Devgan, Hum Dil De Chuke Sanam (1999)

Aaj Khush toh bahut honge tum?
- Amitabh Bachchan, Deewar (1975)

Mere pitaji kehte the ki kurta toh sharir ke uprardh ki lajja nivaran ke liye hota hai
- Amol Palekar, Golmal (1979)

eeeeeeeeeeeeeeeeeeish!!!!
- Utpal Dutt, Golmal (1979)

Pyar karti hai mujhe?
- Abhay Deol, Ahista Ahista (2007)

Mujhe dosti karoge
- Dimple Kapadia, Bobby (1973)

Dibba!!!!
- Dimple Kapadia, Bobby (1973)

Aap ke paon dekhe, bahut haseen hai. Inhe zameen par mat utariyega  maile ho jayenge
–Raj Kumar,  Pakeezah (1972)

Pehle us aadmi ka sign leke aao jisne mere haath par yeh likh diya
- Amitabh Bachchan, Deewar (1973)

Mere paas maa hai!!!
- Shashi Kapoor, Deewar (1973)

Bade Bade desho main choti choti baatein hoti rehti hai
-Shahrukh Khan, Dilwale Dulhaniya Le jayenge (1995)

machli?? woh me kha gaya……mast tel me fry karke kha gaya…..cha mai la!!
- Paresh Rawal, Hera Pheri (2000)
Tumhare filmon mein bahut saare take hote hain, ek take nahin to doosra sahi, lekin zindagi ke is khel mein humein sirf ek take milta hai aur us take mein galti hui, to zindagi maut ke saamne ghutne tek deti hai!!
- Akhay Kumar, Main Khiladi Tu anari (1994)

Marathi manus Jaaga ho
-Paresh Rawal, Hera Pheri (2000)

Pyar sirf ek bar hota hai aur shaadhi bhi ekhi baar hota hai
-Shahrukh Khan, Kuch Kuch Hota Hai (1998)

Bol Diya?
- Arbaaz Khan, Pyar Kiya toh darna kya (1998)

yeah zulfe hai tumhari, ya hai resham ka jaal ….khushnasib hai wo ….khushnasib hai wo chuhe ..jinhone katre tumhare baal …..
- Laxmikant Berde, Maine Pyar Kiya (1989)

Aaj tak tum bolte aaye aur mein sunta aaya..aaaj…mein boloonga aur tum sunoge!
- Amitabh Bachchan, Anand (1971)

hai bhagwan…utta le re utta le…………….mereko nahi!! iin dono ko ..re baba!
-Paresh Rawal, Hera Pheri (2000)

Saab, aap bahut maara apun ko, par main jo ek maara, solid laga ki nahi!?
- Amitabh Bachchan, Amar Akbar Anthony (1977)

To tumhe kya lagta hai, mai is takiye pe roz baitha hoo
- Saif Ali Khan, Dil Chahta Hai (2001)

pushpa..yeh aansu poch dalo.. I hate tears
- Rajesh Khanna, Amar Prem (1971)

mere mann ko bhaya maine kutta kkat ke khaya
- Mukesh Tiwari, China Gate (1998)

babuji na kahan gao chodo, sab ne kaha ke paro ko chodo, paro ne kahan sharab chodo, ab tum kehe rahin ho ki is haweli ko chodo, hmm ek din ayega jab sub kahengi ki bus yeh duniya hi chodo.
- Shahrukh Khan, Devdas (2002)

3 comments:

  1. Itni shidaat se main tumhe paane ki koshish ki hai,
    hi har zaare ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai.

    Kehte hain ki …… Agar kisi cheez ko dil se chaaho to puri kayanat usey tumse milane ki koshish mein lag jaati hai.

    Aaj aap sabh ne mujhe meri chaahat se milaeya, thank you, thank you very much. Main aap sab ka shukar guzaar hoon.
    Ki aapne mere kwabon ko yakeen mein badal diya, itna ki I feel like the King of thee World.

    Aur aaj, is baat ka bhi yakeen ho gaya, ki humari filmon ki tarah humari zindagi mein bhi end mein sab theek ho jaata hai.
    Happys Endings. Aur agar, aur agar theek na ho to woh the end nahin hai dosto, picture abhi baaki hai.

    ReplyDelete
  2. (Biggest but the best one from Chak De India)
    Sattar minute. Sattar minute hain tumhaare paas. Shaayad tumhari zindagi ke sabse khaas sattar minute. Aaj tum achha khelo ya bura, yeh sattar minute tumhe zindagi bhar yaad rahenge. Aur kaise khelna hai, aaj main tumhe nahin bataoonga. Bas itna kahoonga ki jao aur yeh sattar minute jee bharkar khel lo. Kyunki iske baad aane wali zindagi mein chahe kuch sahi ho ya na ho, chahe kuch rahe ya na rahe, tum haaro ya jeeto, lekin yeh sattar minute tumse koi nahin chheen sakta. Koi nahin. Toh maine socha ki is match mein kaisa khelna hai aaj main tumhe nahin bataaoonga balki tum mujhe bataoge. Khelkar. Kyunki main jaanta hoon, ki agar yeh sattar minute is team ka har player apni zindagi ki sabse badhiya hockey khel gaya toh yeh sattar minute khuda bhi tumse waapas nahin maang sakta. Toh jao. Jao aur apne aap se, is zindagi se, apne khuda se, aur har us insaan se jisne tumhe… tumpar bharosa nahin kiya, apne sattar minute chheen lo.

    ReplyDelete